February 14, 2017

Khayal: Parindo ki Zindagi

From the finite brain to the infinite mind. Khayal is every little thought you've had turned into poetry.

By Kalikramatic Baba In Verses 1 minute 43 seconds

Chhat pe baith kar asmaan ko dekh kar
Aksar yeh sochta hu In parindon ki zindagi kaisi hogi
Asmaan me tairte huye yeh kya sochte honge
Mushkil aane par yeh kise koste honge
Kya inhe zameen par bhi itni khushi milti hogi
Jitne asmaan mein udte hue milti hai
Barishon se inki dosti hogi ya nahi
Mausamon se inhe ishq hoga ya nahi
Sooraj se inhe chidchidahat hogi ya nahi
Kya ye bhi asmaan ke liye ladte honge
Insaano ki tarah ek dusre se darte honge
Udne ki aadat me yeh chalna toh nahi bhule
Kya inhe ab bhi inki pehli udaan yaad hai
Inki kabr dharti mein kyun, asmaan mein kyun nahin hoti
Inhe aasmaan se pinjaron mein kaun bharta hoga
Kehte hai yeh bahut door tak dekh sakte hai
Neche dekh kar insaano ke bare mein kya sochte honge yeh
Shayad inhe hum pasand nahi
Isliye humse door
Hawaon mein choor
Hokar udte rehte hai

Leave a Comment